9 or 10 zilhajj k roza ki fazilat






Zilhaj islami saal ka akhri mahina hai.Ye hurmat wala mahina bht babarkat or fazilat wala mahina hai.Allah ta'ala ko ye maheena bht pasand h.Is k pehle das dinu ki bht fazilat hai.

Hadis Pak mai h k:

"zilhaj ka sara maheena bari bazurgi or fazilat ka maheena h.Lekin is maah k pehle das din mai ibadat ka bht sawab hai or farmaya gya h k das din mai sai teen din kasrat k sath apne Rab ko yad karo or uski barahi byan karo ye teen din yeh h..Zilhaj ki 8,9,10 tareekh.in dinu mai nawafil b ada karen or roza b rakhen.tilawat e Quran kasrat sai kry.


Roza ki fazilat:-

Haj k mahiny k pehly ashry k roze ki bht fazilat byan ki gae h
Rawayat hai k:-

"logo haj k mahiny k pehly ashry ka aik roza aik saal k rozun k brabar hai. Or is k nwafil shabe-qadar k nwafil k braber h.9 or 10 zilhaj k roza ki bht fazilat h is ki fazilat ko byan krty hoye hmary pyary nabi Hazrat Muhammad SAW frmate h:-
jo shahs 9 or 10  zilhaj ka aik roza rkhta h is aik  roza mubarak k sadky hmara parwardigar aik saal k agly or pechly gunahun ko maaf frma deta hai..Subhanallah.
Hazrat Muhammad SAW nai frmaya k:
Allah ta'ala ko koi naik aml kisi naik din mai itna pasandida nai h jitna k in dinu mai pasandida hai.Yani Ashrah e zilhajj

"in dinu mai kiye gaye aml sai koi afzl aml nai"

Is liye hamy chahiye k is din ki fazilat ko apne hath sai na jany dai khud b roza or ibadat kry or dusrun ko b is ki talkeen dai.Allah ta'ala sai duua hai k allah hm sb ko in naikiun ko apny nama emal mai samaitny ki tofeeq ata farmaye..............
Ameen suma ameen! 


Post a Comment

0 Comments